Anjuman E Sakina



SHAAM KE BADH-TE HUWE SAAYE - MUSIBAT KI GADI
TADAPTI REH GAYI MAA AUR ALI AKBAR NAHIN AAYE
MUSIBAT Kl GADI - MUSIBAT Kl GADI

GUZAR JAANAA HI LIKHAA HAI JAWAANI MEN AGAR YAA RAB
GUZARNE SE ALI AKBAR KE PEHLE MAA GUZAR JAAYE

WOHI ANDAAZAA KAR SAKTAA HAI DARD-E QALBE LAILAA KAA
NAZAR KE SAAMNE JISKE JAWAAN BETAA SINAAN KHAAYE

JAWAAN KI LAASH PIRI MEN UTHAANAA EK QAYAAMAT HAI
YE DIN ALLAAH DUNIYAA MEN KISI KO BHI NA DIKHLAAYE

SAMBHAL KAR KHENCHI-E-GAA QALBE AKBAR SE SINA MAWLAA
ULAJ KAR NOVKE NEZAA MEN JIGAR BAAHAR NA AAJAAYE

ZAMIN THARRAA GAYI AKBAR KAA LAASHAA JAB KE RETI PAR
HUSEIN IBNE ALI JAB SHUKR KAA SAJDAA BAJAA LAAYE

YE SAR TAA PAAUN ZAKHMI HOGAYAA LAKHTE DILE ZEHRAA
LAEEN-ON NE TANE SARWAR PE ITNE TEER BARSAAYE

MAI ZAAKIR HUN HUSEIN IBNE ALI KAA YE DUAA KIJE
SHARAF YE NASL SE MERI QAYAAMAT TAK NAHIN JAAYE