Anjuman E Sakina



POHNCHAA JO RAN MEN SHABBARE ZI JAAH KAA PISAR
HUJJAT TAMAAM KAR KE WIGHAA KI BA-KAARO FAR
ARZAQ KO DI WOH ZAG KE JU-KE NAAMIYON KE SAR
MAA SUN KE BOLI SHUK-RE KHUDAA-WAN-DE BAHRO-BAR
KUN-BE MEN BAAT REH GAYI WOH KAAM HO GAYAA
BIN BAAP KE PISAR KAA BADAA NAAM HO GAYAA

BAATEN YE HO RAHI THI HARAM MEN KE EK BAAR
QAASIM PE MIL-KE TOOT PADI FOVJE NAAMDAAR
SIM-TE IDHAR UDHAR SE HAZAARON ZABUN SHIAAR
CHAARON TARAF SE PARH-NE LA-GE TASH-NA LAB PE WAAR
HAR-BE LIYE THE QURB MEN JO BAD SHA-OOR THE
PATHTHAR WOH MAAR TE THE JO MAJ-MAA SE DOOR THE

NARGHAA WOH SHAAMIYON KAA WOH EK GHAI-RA-TE QAMAR
BHAA-LE WOH AAS PAAS WOH TEGHEN QARI-BE SAR
NEZEN CHUBO-EN DIL MEN LAEENON NE ISS QADAR
SHABBAR KE NAV-NIHAAL KAA TUK-DE HUWAA JIGAR
TIRON SE SAB CHHINAA HUWAA TAN GULBADAN KAA THAA
QAASIM KAA JISM THAA KE JANAAZAA HASSAN KAA THAA

ZEHRAA KI THI FUGHAAN KE NA BACHCHE KO YUN SATAAO
MASMUM KAA JIGAR HAI NA TEGHEN ISS-E LAGAAO
ME-RE HASSAN KI HAI YE KAMAAI KOI BACHAAO
BETI HUN MAI TUM-HAA-RE PAYAMBAR KI REHM KHAAO
DE DO MUJ-HE YE LAAL KE GHAM KI SATAAYI HUN
MAI TUM SE BHIKH MAANG NE JANNAT SE AAYI HUN

ZEHRAA TO KAR RAHI THI YE NAVHAA BA-HAALE ZAAR
NAAGAAH ZULM KI HUWI BARCHHI JIGAR KE PAAR
GO-DE PE DAG MAGAA NE LAGAA TIF-LE GHUL UZAAR
ABBAAS KO TADAP KE PUKAARAA JIGAR FIGHAAR
WAQT AA GAYAA KE AV-JE SHAHAADAT HUSUL HO
AB AAKHERI SALAAM HAMAARAA QUBUL HO

YE KEH-TE KEH-TE KHAAK PE WOH MEH-LAQAA GIRAA
JALTI ZAMEEN PAR PISARE MUJTABAA GIRAA
RAN MEN YATIM-E GAVHAR-E ARSH-E ULAA GIRAA
GHUL PAD GAYAA NABI-RA-E KHAIRUN-NISAA GIRAA
POTAA HAI JAAN BALAB ASAD-E KIR-DIGAAR KAA
BUJH TAA HAI AB CHIRAAGH HASSAN KE MAZAAR KAA

GIRTE HI KHAAK PAR JO HUWAA GHASH WOH MEH-LAQAA
FOV-JE ADU MEN FAT-HA KE BAAJON KAA GHUL HUWAA
MAA NE SADAA SUNI TO YE DIL THAAM KAR KAHAA
MERI KAMAAI NEG LAGI SHUK-RE KIBRIYAA
BACHCHE PE ME-RE MEHR HUWI ZUL-JALAAL KI
LO BIBIYON BARAAT CHAD-HI ME-RE LAAL

SUN-KAR YE BAIN RO-NE LA-GE SHAA-HE BAH-RO-BAR
RAN KO CHA-LE PATAK KE AMAAMAA BA-CHASH-ME TAR
HAMRAAH THAA PISAR BHI BIRAADAR BHI NAVHAA GAR
NAA-LE YE THE KE HAAE ME-RE GHAIRAT-E QAMAR
AMMU NISAAR JAA-NE BIRAADAR KIDHAR GAYE
TUM BHI HASSAN KAA DAAGH HARAA AAJ KAR GAYE

PONH-CHE JO LAASH-E IB-NE HASSAN PAR BA-HAALE ZAAR
DEKHAA KE SAR KO KAAT-NE WAA-LE HAI BAD SHIAAR
GHUSSE SE KAAMP-NE LA-GE ABBAASE NAAM DAAR
LAL-KAAR KE BAD-HE SIFATE SHE-RE KIRDI-GAAR
BHAAGE ADU JO DAR KE TO NAQSHAA BADAL GAYAA
HAL-CHAL MEN US YATIM KAA LAASHAA KUCHAL GAYAA

RO-TE HUWE QARIB JO AAYE SHA-HE HUDAA
DEKHAA TAMAAM AZ-VE BURIDAA JUDAA JUDAA
HAATHON SE DIL PAKAD KE KAHAA WAA MUHAMMADAA
UMMAT KAA YE SULUK TO DEKHO PA-E KHUDAA
IB-NE HASSAN KI JAAN PE SAD-ME GUZAR GAYE
LO NAANAA JAAN QAASIM-E NAASHAAD CHALBASE