Anjuman E Sakina



MAZLUM-E KARBALAA KI AZAADAAR AAGAYI
ZAINAB ASEER BAN-KE BAAZAAR AAGAYI

TALWAAR KE BAGHAIR LADUNGI MAI AISI JANG
KHUTBE PADUNGI AISE KE DUSHMAN BHI HONGE DAM
DEKHO HUSEIN TUM BHI HAMAARE JIHAAD KO
ZAINAB HAI AAJ BAN-KE ALAMDAAR AAGAYI

AAYAA SAWAAL JAB KABHI DEEN-E RASUL KAA
AAYAA HAI KAAM KHUN ALI-O BATUL KAA
SUNNAT ADAA BATUL KI KAR-NE KE WAASTE
SHABBIR KI BAHAN JO DARBAAR AAGAYI

JIS-KE HAYAA SE SHAMS NE KHUD KO CHHUPAA LIYAA
UMMAT SHAQI NE QAIDI USSI KO BANAA LIYAA
KARBOBALAA KE DASHT SE BAAZAARE SHAAM MEN
CHAADAR LUTAA KE QAAFELAA SAALAAR AAGAYI

ZAINAB NE ZINDAGI MEN NA DEKHI KOI KHUSHI
ROTI HUWI WOH SHAAM Kl RAAHON MEN CHALBASI
TANHAA LAHAD MEN BHAAI KO RO-NE KE WAASTE
SARKAAR-E PANJATAN KI WOH GHAM-KHWAAR AAGAYI

MEHSHAR KE ROZ AAYEGI JAB NAAI-BE BATUL
TANWIR YE KAHENGE KHUDAA SE MERE RASUL
ZINDAA RAKHEN HAI JISNE IRAADE HUSEIN KE
YAA RAB WOH MERE DEEN-KI MADAD-GAAR AAGAYI