Anjuman E Sakina



SUGHRAA NE KAHAA LOVT KE KAB AAO-GE BAABAA
AB AUR KAHAAN TAK MUJ-HE TAD-PAAO-GE BAABAA

MAR JAAUN-GI EK ROZ MAI DURI MEN TUM-HAARI
GAR AAYI ME-RE BAAD TUM-HAARI JO SAWAARI
TUM DEKH-NAA ZINDAA NA MUJ-HE PAAO-GE BAABAA

KHUD AAYE NA TUM-NE KOI KHAT BHI MUJ-HE LIKHAA
WAA-DE KE MUTAABIK YAHAAN AKBER KO NA BHEJAA
BIMAAR KO KAB TAK YUN HI TAR-SAAO-GE BAABAA

TUM JAB SE GAYE KOI DAWAA HAI NA GHIZAA HAI
MAR-JAAUN ME-RE HOTHON PE HAR WAQT DUAA HAI
MAYYAT KO MERI AAN KE DAF-NAAO-GE BAABAA

BAABAA KAHIN ISS DHUP MEN GAR SE NA NIKAL NAA
TAP TE HUWE SEHRAA MEN PIYAADAA NAHIN CHALNAA
PAIGHAAM YE AKBER KO BHI PONHCHAAO-GE BAABAA

TUM BAALI SAKINAA KO KA-LE-JE SE LAGAANAA
SI-NE PE SULAANAA KABHI GODI MEN BITHAA-NAA
PAANI U-SE HAR GAAM PE PIL-WAAO-GE BAABAA

RAIHAAN JIGAR PHAT TAA HAI SUGHRAA KI FUGHAAN SE
JAB GUFTA GU YUN KARTI HAI WOH SHAA-HE ZAMAAN SE
GAR AB BHI NAHIN AAYE TO KAB AAO-GE BAABAA