Anjuman E Sakina



ZIKR JAB ZAINABE MUZTAR KAA BAYAAN HOTAA HAI
KHUN SAJJAAD KI AANKHON SE RAWAAN HOTAA HAI

DASTE SHABBIR PE BESHIR NE SAABIT YE KIYAA
HAASHAMI KHUN KO BACHPAN SE JAWAAN HOTAA HAI

NOVKE NEZAA SE LAHAD MEN SE NIKAALE LAASHAA
ZULM AISAA YE ZAMAANE MEN KAHAAN HOTAA HAI

BHAAI BETON KE HO BE-GORO KAFAN LAASHE PADE
AISE AALAM MEN QAYAAMAT KAA SAMAAN HOTAA HAI

FAATEMAA ZAAHRAA WAHAAN KHUD HI POHONCH JAATI HAI
ZIKRE HASNAIN SHAHIDAIN JAHAAN HOTAA HAI

AAWO SAJJAAD KI AANKHON KE LAHU KO DEKHO
MANZARE KARBOBALAA SAARAA AYAAN HOTAA HAI

TUN AMIR EK NAHIN SHAAH KE GHAM MEN SHAAMIL
MEHWE GHAM AAJ TO HAR KOVNO MAKAAN HOTAA HAI