Anjuman E Sakina



HAAE SHAAM KAA BAAZAAR
SAJJAAD SE RONE KAA SABAB PUCHH RAHAA HAI
HAAE SHAAM KAA BAAZAAR
JO SHAAM MEN GUZRI HAI WOH SAB PUCHH RAHAA HAI

BHULAA TO TAMAASHAAI BE PARDAA PHUPHI BEHNEN
KAISE NA LAHU ROE BIMAAR KI PHIR AANKHEN
ISS GHAM KI AZIYYAT NE USSE MAAR DIYAA HAI

KIS TARHAA KARAAR AAYE BIMAAR KO AI LOGO
SAR NEZON PE PYAARON KE AATE HAI NAZAR JISKO
BE JURM MUSAAFIR KI YE KAISI SADAA HAI

AANKHON SE HAI KHUN JAARI GHAMKHWAAR HAI BIMAARI
ZANJEER HAI PAIRON MEN AUR TOVK BHI HAI BHAARI
JALTI HAI ZAMIN SAARI AUR GARM HAWAA HAI

JAAGIR NAHIN MAANGI ZANJEER NAHIN BADLI
SAAYE MEN NAHIN BAITHAA POSHAAK NAHIN BADLI
MAA BEHNON KI KHAATIR WOH RIDAA MAANG RAHAA HAI

ZINDAAN KE MASAAEB BHI HAR WAQT RULAATE HAI
ASHKON KO MAGAR APNE ZAINAB SE CHHUPAATE HAI
MARJAAE NA ZAINAB YE KAHIN SONCH RAHAA HAI