Anjuman E Sakina



ROTI HAI WAFAA HAAE WAFAADAAR NAHIN HAI
ZAINAB HAI SAR BAREHNAA ALAMDAAR NAHIN HAI

BAAZAAR MEN GALIYON MEN HAI ABBAAS KI BEHNE
SAR PAR KOI CHAADAR SARE BAAZAAR NAHIN HAI

ABBAAS KE LAASHE PE SAKINAA YE PUKAARI
BIN AAP KE MARNAA MUJHE DUSHWAAR NAHIN HAI

USQAID MEN JAATI HUN CHACHAA TUMSE BICHHAD KAR
TAARIK BOHOT HAI JO HAWAADAAR NAHIN HAI

AAJAAO CHACHAA CHALBASAA PYAASAA ALI ASGHAR
PAANI KI SAKINAA BHI TALABGAAR NAHIN HAI

UTHH DEKH MERE GHAAZI SARE SHAAME GHARIBAAN
SAB JAL CHUKE AB KHAIMON KE AASAAR NAHIN HAI

ZANJIRON MEN JAKDAA HUWAA MAQTAL SE JO GUZRAA
SAABIR KOI SAJJAAD SAA BIMAAR NAHIN HAI

KYUN KATKE GIRE JAATE HAI DIL FOVJE ADU KE
YE KHUTBA-E ZAINAB KOI TALWAAR NAHIN HAI

ZEHRAA KI SHAFAA-AT NA MILEGI USSE RAIHAAN .
ABBAAS KE GHAM MEN JO AZAADAAR NAHIN HAI