Anjuman E Sakina



MAI SAKINAA HUN MAI BINTE SHABBIR HUN
SABR MEN APNE BAABAA KI TASWIR HUN

MERAA BHAAI THAA AKBAR SHEERIN SUKHAN
JISKO KEHTI THI DUNIYAA ZIYAA-E CHAMAN
JAANE KISKI NAZAR NE LAGAAYAA GAHAN
HAAE TADPAA KIYAA KHAAK PE GULBADAN
AKBARE SHERE HAQ KI MAI HAMSHIR HUN

WOH SHUJAA-AT DIKHAAI THI BESHIR NE
SHERE YAZDAAN - O MARDAAN KI TASWIR NE
REHM KUCHH NA KIYAA HAAE BE PIR NE
USS KAA GHAM BHI DIYAA MUJHKO TAQDIR NE
ASGHARE BEZABAAN KI MAI TAQSIR HUN

KYAA KARUN TAZKIRAA BAABAA SHABBIR KAA
REHBARE DEEN KAA DEEN KI TANWIR KAA
HO BAYAAN KIS TARHAA KUND SHAMSHIR KAA
KOI BATLAAYE BAABAA KI TAQSIR KAA
HAAE GHAM MEN PIDAR KE MAI DILGIR HUN

JISSE PUCHHUN MAI DETAA NAHIN KUCHH KHABAR
HAI KAHAAN MERE AMMU SHAHE BEHROBAR
PAANI LENE GAYE THE NA AAYE MAGAR
UNKI FURQAT MEN PHAT - TAA HAI MERAA JIGAR
MAI SAKINAA HUN GHAAZI KI SHAMSHIR HUN

MUJHPE HAR EK ZULM - O SITAM HAI RAWAAN
SARSE CHHINI HAI ZAALIM NE MERI RIDAA
HAI BANDHAA MERAA RASSI SE SUKHAA GALAA
BAARHAA JAB KE ZAALIM SE MAI NE KAHAA
DINE EHMAD KI EK MAI BHI TANWIR HUN

PAAUN MEN AABLE HAATH MEN HAI RASAN
YAAD AATAA HAI REH REHKE MUJHKO WATAN
FURQATE SUGHRAA KARTI HAI DILME CHUBHAN
ZAKHMI ZAKHMI HAI YE MERE RUH-O BADAN
HASRAT - O YAAS KI DEKHO TASWIR HUN

KHOL DO HAATH RASSI SE BEHRE KHUDAA
HAATH HONE LAGE JISM SE AB JUDAA
DEKHO LEJAAE KAB AAKE MUJHKO QAZAA
KUCHH KARO MERE JINE KAA TUM AASRAA
MAI ZAMAANE MEN AAGURDA TASWIR HUN

NAA SATAAWO MUJHE MUJHPE TODO NA GHAM
MERE DAADAA THE HAIDAR GHAAZI THE AMM
BE PIDAR HUN KARO MUJHPE KUCHH TO KARAM
DARD DO NAA MUJHE ZAALIMON TUM BAHAM
KHUN MEN DUBI HUWI EK TEHRIR HUN