Anjuman E Sakina



KHUN ME ABBAAS NAHAAYAA KIYE
MASHKE SAKINAA KO BACHAAYAA KIYE

PONHCHAA JO DARIYAA PE WOH BEHRE SHARAF
BANKE BEHESHTI LIYE SHEHKAA ALAM
BHARKE CHALAA MASHK KO SUE HARAM
TUT PADI GHAAZI PE FOVJE SITAM

BAARISHE PAIKAAN THI ABBAAS PAR
RUKTAA NA THAA USPE BHI WOH SHERE NAR
MASHKE SAKINAA KIYE SINAA SIPAR
KHAIMEN KI JAANIB RAHAA JAARI SAFAR

WAAR SHAMI GAAH SE AISAA HUWAA
GHAAZI KAA SHAANAA HUWAA BAAYAAN JUDAA
MASHKO ALAM DAAEN TARAF KAR LIYAA
RUK KE ZARAA PHIR SUE KHAIMAA BADHAA

SHAAM KE LASHKAR KAA BADHAA HONSLAA
FOVJE SITAMGAAR KAA NARGHAA BADHAA
TANSE JUDAA DAAHNAA BAAZU KIYAA
MASHKO ALAM DAANTON MEN LEKAR CHALAA

BAARISHE TEERON KI BACHAATE HUWE
MASHK KO SINE SE LAGAATE HUWE
DEEN KAA ALAM MUNH MEN DABAATE HUWE
BADTE RAHE KHUN MEN NAHAATE HUWE

TIRE SITAM MASHK PE AAKAR LAGAA
LAGTE HI US TIR KE PAANI BAHAA
TUT GAYI AAS BEHESHTI KI AAH
PHIR NA QADAM KHAIMEN KI JAANIB BADHAA

EK LAEEN NE KIYAA CHUP KAR JO WAAR
GURZ KE LAGTE HI HUWAA SAR FIGHAAR
GIRTE HUWE DI SADAA BE-IKHTIYAAR
LIJE SALAAM AAKHERI DULDUL SAWAAR