Anjuman E Sakina



MARZI THI YE KHUDAA KI SUGHRAA MADINE REHGAYI
TASWIR FAATEMAA KI SUGHRAA MADINE REHGAYI

AKBAR KI LAADLI KO SHEHNE KAHAA YE AAKAR
HAALAAT DEKHTE HAI KARBOBALAA ME JAAKAR
AAENGE LENE AKBAR QISMAT NE GAR WAFAA KI

HOTAA JO MERE BAS ME TANHAAA NA CHHODTAA MAI
BAANU KI LAADLI KE DILKO NA TODTAA MAI
MANZURE HAQ JO HOTAA YUN MUNH NA MODTAA MAI

NAANI KE SAATH SUGHRAA SUGHRAA KE SAATH HUJRAA
DIN RAAT EK NAALAA DIN RAAT EK NAUHAA
AKBAR AGAR NA AAYE BEHNAA RAHEGI SHAAKI

BHAAI KO KHAT ME LIKHAA AAJAAO MERE BIRAN
PAAOGE PHIR KAHAANSE KUCHH ROZKAA HAI JIWAN
BHAAI KO BHAAGAYI HAI KYUN KHAAK KARBALAA KI

CHHODAA THAA EK DIN JAB SHABBIR NE MADINAA
MUD MUD KE DEKHTI THI HAR EK KO HAZINAA
JAISE KE LUTRAHI HO JAAGIR FAATEMAA KI

AAGOSHE FAATEMAA ME ASGHAR HUMAK KE AAYE
BIMAAR ROKE BOLI TUM BHI HUWE PARAAYE
KUCHH LAAJ TUMHI RAKHLO MEHRUM ILTIJAA KI

SUGHRAA KI GOD IRFAAN ASGHAR NE JAB NA CHHODI
AAKAR KARIBE ASGHAR SARWAR NE YE SADAA DI
TUM BIN NA HO SAKEGI TAKMEEL KARBALAA KI