Anjuman E Sakina



HOGAYI HAI RIHAAI HAMAARI GHAR CHALO
GHAR CHALO AI SAKINA

PUCHHTI THI YEH HAR BAAR MUJHSE
DEKH KAR AASMAAN KE PARINDE
PHUPHI AMMAA YEH MUJHKO BATAADO
KAB TALAK JAAYENGE HAM MADINE
UTHO UTHO AI SARWAR KI PYAARI
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

KAAN ZAKHMI HAI AB TAK TUMHAARE
UTHO MARHAM UNHE MAI LAGAA DUN
GHAR NA TUM SAATH AAWO HAMAARE
KAISE GHAAZI KO CHEHRAA DIKHAAWUN
APNE AMMU KI TUM HO DULAARE
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

HAI GHAZAB KAA ANDHERAA YAHAAN PAR
AUR KISI SIMT UJAALAA NAHIN HAI
HAI PARAAYI YEH BASTI YAHAAN KI
KOI GHAMKHWAAR APNAA NAHIN HAI
HOGAYI YEH PHUPHI TUMPE WAAR
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

AB TO PAIDAL BHI TUM NA CHALOGI
AUR NA ZULM-O-SITAM KO SAHOGI
NA RASAN KOI BAANDHEGAA TUM KO
AUR NA HAATHON SE PARDAA KAROGI
MIL GAYI HAI JO CHAADAR TUMHAARI
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

JAB MAI JAAWUNGI APNE WATAN KO
UJDE GHAR KO MAI SEH NAA SAKUNGI
MERI MAASOOM MERI SAKINAA
YEH BATAAWO USE KYAA KAHUNGI
TUMKO PUCHHE JO BEHNAA TUMHAARI
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

KARBALAA KI ZAMEEN PE HAI ASGHAR
AUR SAATH USKE SOYE HAIN SARWAR
KOUN DILAASAA USE DEGAA DILBAR
JO YAHAAN SOGAYI HON ZAMEEN PAR
MAR NA JAAYE YEH MAADAR TUMHAARI
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA

QAID-E ZINDAAN SE HAAE AHMAD
AB TALAK BHI RIHAA HO NA PAAYI
SHEH KI IS LAADLI KO AI MOHSIN
YEH ZAMEEN KIS TARHA RAAS AAYI
KEH RAHI THI PHUPHI GHAM KI MAAR
GHAR CHALO, GHAR CHALO AI SAKINA