Anjuman E Sakina



ABBAAS CHAL-E AAWO - ABBAAS CHAL-E AAWO

AKBER BHI NAHIN BAAQI ASGHAR BHI NAHIN BAAQI
QURAAN THAA JIS GHARMEN WOH GHAR BHI NAHIN BAAQI
HAR TAR-HA KE SADMONSE BETAAB SAKINAA HAI
AAKAR US-E SAMJAAO ABBAAS CHAL-E AAWO

KAANON Kl LAVEN KHENCHI KAANONSE GAVHAR TOD-E
YAA KAH-KASHAAN TODI YAA SHAMSO QAMAR TOD-E
TOD-E HAI ZAMAANE NE IKHLAAQ KE SAANCHE BHI
MAARE HAI TAMAACHEN BHI BACHCHI PE TARAS KHAAO

YE RAAT YE TAARIKI YE DASHT YE SANNAATAA
LAMHON KE TAGHAYYUR NE SADIYON KAA SAFAR KAATAA
YE JALTE HUWE KHAIMEN GHABHRAA KE NA MAR JAAE
MAASUM KIDHAR JAAE MAASUM KO SAMJAAO

KYAA AISE BAHAADUR KO DEKHAA KABHI DUNIYAANE
DAATON SE ALAM THAAMAAN BAAZUSE KAT-E SHAANE
SAR GIRYA-E WEHSHAT MEN DIWAARSE MAAREGI
AMMU KO PUKAARE Gl AMMUKO BULAA LAAO

EK HOL-SAA UTHH-TAA HAI ISS SHAAMEN GHARIBAAN MEN
EK KHOVFSA DASTAA HAI JANGAL MEN BAYAANBAA MEN
ZANJIR BA-PAA BHAAI PHUPHI BHI RASAN BASTAA
PHIR BAND HAR EK RASTAA AB AUR NA TADPAAO