Anjuman E Sakina



AJJIL ALAA ZUHURIKAA YAA SAAHIBAL WAQAAR
AJJIL ALAA ZUHURIKAA YAA WAARISAD DAYAAR

GULSHAN TERE FIRAAQ ME HAI AISAA SOGWAAR
SABZE KE SAR PE KHAAK HAI SHABNAM HAI ASHQBAAR
SADIYAAN HUWI CHAMAN SE GUZARTI NAHIN BAHAAR
AB HAI BAHAAR KAA GULE NARJIS PE INHISAAR
AAJAA KE HAI ZAMAANE KO BAS TERAA INTEZAAR

HAR LAMHA KYUN NA HO DILE MOMIN ME IZTERAAB
PHIR MAAILE ZAWAAL HAI MASHRIQ KAA AAFTAAB
CHHAAYAA HUWA FIZAA PE HAI ILHAAD KAA SAHAAB
KHATRE PE PAD GAYAA HAI SHARIYYAT KAA INQILAAB
UTHI NA AB TO UTHEGI KAB TERI ZULFIQAAR

KAISE KAHEN JO ZULM JAHAAN ME HAI KU BA KU
BEHTAA HAI KHUNE KUSHTA - E - ISLAAM JU BA JU
ASHQON KE BADLE AANKHON SE BEHNE LAGAA LAHU
YASRAB KI HAR GALI ME CHIRAAGHAAN HAI CHAARSU
AUR BE CHIRAAGH HAI TERE AJDAAD KE MAZAAR

BADLAA KUCHH AISAA NAQSHA - E - DUNIYAA -E NISTD BOOD
ARZE HARAM SE MIT-TAA HAI IMAAN KAA WUJOOD
ASNAAM BANKE BAITHI HAI ZURRIYATE SA -OOD
NAZREN LAGAAE BAITHE HAI YASRAB PE PHIR YAHOOD
TERE SIWAA NAHIN KOI HAIDAR KAA WIRSAA DAAR

AAMAADA - E - FASAAD HAI HAR SIMT KINAWAR
AATI NAHIN KAHIN SE SUKOON KI KOI KHABAR
BADLE KUCHH IS TARHA SE SAB ANDAAZE KHAIRO SHAR
KAAFIR HAMEN BANAATE HAI NASLON KE BAD GAUHAR
AALE YAHOOD BAN GAYI MAZHAB KI THEKE DAAR

UMMAT ME AB RASOOL KAA YE EHTERAAM HAI
QABRE RASOOLE PAAK KAA BOSAA HARAAM HAI
FATWAA -E- KUFRO SHIRK KAA ISLAAM NAAM HAI
JURME AZEEM QABRE NABI PAR SALAAM HAI
JALLAADE ASR BANGAYAA HAR KHAADIME MAZAAR

AB TO TAWAAFE KHAANA - E HAQ BHI HAI MARHALAA
KHIDMAT SE PEHLE MAANGTE HAI AJR BE HAYAA
QABL AZ MINAA HI KAT-TAA HAI HUJJAAJ KAA GALAA
HAR HAR QADAM PE LOOT HAI HAR GAAM PAR SAZAA
HOTI HAI NAAME KHIDMATE KAABAA PE LOOT MAAR

MAULAA ULAT DO CHEHRAE ANWAR SE AB NAQAAB
KAB TAK RAHEGAA MEHRE IMAAMAT PASE HIJAAB
MUSHTAAQ HAI KALEEM KE DEKHE WO INQILAAB
NIKLE DOBAARAA DUB KE MAGHRIB SE AAFTAAB
IS BAAT KAA HAI WAARISE HAIDAR PA INHISAAR