Anjuman E Sakina



KYUN ZEHR DIYAA HAI HAAYE MAULAA HASAN KO
TEERON SE HAI BADLAAYAA KYUN RANGE KAFAN KO

AISE TO NA BHEJAA THAA ZAINAB NE JANAAZAA
PHIR KISNE KIYAA ZAKHMI MAZLOOM KE TAN KO

USKI KABAR PE LAANAT TAA HASHR PADEGI
WIRAAN KIYAA JISNE ZAHRAA KE CHAMAN KO

ZAINAB KE KHAYAALON ME HAI SHAAM KE MANZAR
MEHSOOS KAR RAHI HAI HAATHON ME RASAN KO

US MAA KI BHALAA KAISE TAAZIM KAREN HAM
KAANTON SE JO BHAR JAAYE APNE HI SAHAN KO

ITNAA TO BATAA HAMKO KAM ZARF MUSALMAAN
MAIDAANE JANG BANAAYAA KYUN JAA - E DAFAN KO

DONO JAHAAN ME BESHAK TAUQIR PAA GAYAA WOH
TAA ZINDAGI JO ROYAA SARKAARE HASAN KO