Anjuman E Sakina



ARSH SE YE MALAK NE PUKAARAA
HOGAYI ROZE-DAARO QAYAAMAT

DO JAHAAN MEN HAI KOHRAAM BARPAA
HOGAYI ROZE-DAARO QAYAAMAT

KHAANA-E HAQ MEN HAIDAR KO MAARAA
JAANASHINE PAYAMBAR KO MAARAA
HAAE AAQAA-E BU-ZAR KO MAARAA

IBNE MULJIM NE ZARBAT LAGAAYI
ZEHR—E AALOOD HAQ KI DUHAAI
ZAKHMI MAWLAA HUWAA HAI TUMHAARAA

LARZAA QABRE RASULE KHUDAA HAI
RUHE ZEHRAA BHI SARPE BUKAA HAI
NAALE KARTAA HAI HAIDAR KAA KUNBAA

CHHAA GAYAA SARPE ABRE YATIMI
ZULM KI BADLI IS TARHA CHHAAI
UTHH GAYAA SAAYAA MUSHKIL KUSHAA KAA

EID NAZDIK THI ZULM DHAAYAA
EHLE BAITE NABIKO RULAAYAA
MAARAA MAL-OON NE KUL KAA MAWLAA

WAA ALIYAA KAA NAUHAA HAI LAB PAR
GHAR MEN ZEHRAA KE BARPAA HAI MEHSHAR
KHAAK URHAATE HAIN SAB EHLE KUFAA

BETIYAAN AUR BETE HAI PUR GHAM
JOSHE GIRYAAN MEN KARTE HAIN MAATAM
NIKLAA HAIDAR KAA GHAR SE JANAAZAA

Al ANIS AUR AZAADAARE SARWAR
PAIRAWE EHLE BAITE PAYAMBAR
PURSAA DIJE YE SAB PAD KE NAUHAA