Anjuman E Sakina



HAAYE ZAINAB HAAYE ZAINAB
MUJHE CHAADAR LAADE KOI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI

GHAR LUT-TE HUWE JAB SE DEKHAA
SINE ME MERE HOTI HAI CHUBHAN
EK BAAT MUJHE TADPAATI HAI
BHAAI HAI MERAA BE GORO KAFAN
HAAYE ZULM SAHAA HAI - WAA WAILAA
YE ZAKHM BADAA HAI - WAA WAILAA
BAAZAARE JAFAA HAI - WAA WAILAA
TAQDEER KAHAAN LE AAYI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI

IS SHEHR KI MAI SHAAHZAADI THI
AAYI HUN JAHAAN QAIDI BANKAR
JIS SAR PE RIDAA THI ZAHRAA KI
US SAR PE PADI HAI KHAAKE SAFAR
ZAKHMI YE JIGAAR HAI - WAA WAILAA
KAANTON PE SAFAR HAI - WAA WAILAA
GHAM HADDE NAZAR HAI - WAA WAILAA
HAR LAMHA AZIYAAT PAAYI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI

HOTI NA MERE SHAANO ME RASAN
HOTAA JO MERAA ABBAAS JARI
KAT TAA NA MERE BHAAI KAA GALAA
CHHINTI NA KABHI CHAADAR BHI MERI
DIL KEHTAA HAI ROKAR - WAA WAILAA
SHABBIR O SHABBAR - WAA WAILAA
ABBAASE DILAAWAR - WAA WAILAA
TANHAA HAI ZAHRAA JAAYI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI

BHAI KI AMAANAT SAATH LIYE
ZINDAAN KI QAID NIBHAAUNGI
MARJAAEGI QAID ME YE BACHCHI
US PAR BHI ASHQ BAHAAUNGI
BICHHREGI SAKINAA - WAA WAILAA
WAA WAILAA HUSAINAA - WAA WAILAA
KEHTI HAI YE BEHNAA - WAA WAILAA
MUSHKIL ME HAI ZAINAB BHAAI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI

GHAM SEHTE HUWE SEB CHHOTE BADE
IS TARHA SUE ZINDAAN CHALE
DAM SINE ME RUKJAATAA HAI
HAI EK RASAN AUR BAARAA GALE
DURRON KI AZIYYAT - WAA WAILAA
HAR LAMHA QAYAAMAT - WAA WAILAA
HAI HAI YE MUSIBAT - WAA WAILAA
HAI RUH MERI THARRAAYI SAIDAANI HUN MAI SAIDAANI