Anjuman E Sakina



SARSE CHAADAR BHI GAYI GHAR BHI LUTAA ZAINAB KAA
BACH GAYAA DEEN MAGAR KUCHH NA BACHAA ZAINAB KAA

USKE DEEN KE LIYE JAB USNE RIDA BHI DEDI
DEKHTAA REHGAYAA ZAINAB KO KHUDAA ZAINAB KAA

LADKHADAA TE HUWE DEEN NE BHI SAMBHAL NE KE LIYE
BAAZU RASSI SE BAN-DHAA THAAM LIYAA ZAINAB KAA

DAM LE ZINDAAN ABHI ZAINAB SE SAKINAA KO NA CHHIN
AUR ANDHERAA NA BARHAA DIL NA BUJHAA ZAINAB KAA

PUCHHAA SAJJAAD SE SUGHRAA NE YE TANHAAI MEN
SHAAM TAK BHAAI SAFAR KAISE KATAA ZAINAB KAA

ROZ BAS BASKE UJADTI HUWI DUNIYAA KI QASAM
HAAE UJDAA HUWAA GHAR PHIR NA BASAA ZAINAB KAA

DAAL NAA SARPE DARE HUJRA-E SHABBIR KI KHAAK
MARTE DAM TAK YEHI EK KAAM RAHAA ZAINAB KAA

AAKE JAB HASHR KE MAIDAAN MEN RUKEGAA YE NAVID
QAAFELAA KARBOBALAA SE JO CHALAA ZAINAB KAA