Anjuman E Sakina



SHAAM AAYAA ZAlNAB KAA DIL GHABRAAYAA
BIN CHAADAR BIBI NE CHEHRAA
BAALON SE CHHUPAAYAA

YE KISNE KAHAA KE KARBAL MEN
SAADAAT KE KHAIME JALTE HAIN
AULAAD - E UMAYYAA NE LOGON
QURAAN JALAAYAA

SHAANON ME RASAN BANDH - WAAKE CHALI
WO BINTE ZEHRAA BINTE ALI
BHAAI KAA SAR JO NEZE PAR
ZAALIM NE DIKHAAYAA

ZANJEER HILAATE HAIN ZAALIM
DURRE BHI LAGAATE HAIN ZAALIM
SONE NAHIN DETE AABID KO
FARIYAAD KHUDAAYAA

TABZON ME UMAYYAA KHAAK HUWAA
HAR RAAZ KAA PARDAA CHAAK HUWAA
BIBI NE ALI KE LEHJE ME
KHUTBAA JO SUNAAYAA

KULSUM HAI YE WOH FIZZAA HAI
MAA QAASIM KI WOH FARWAA HAI
EK EK BIBI KAA ZAALIM NE
JAB NAAM BATAAYAA

HAI TUM ME ZAINAB KOUN BHALAA
JIS WAQT SITAMGAR NE PUCHHAA
US WAQT JANAABE FIZZAA NE
ZAINAB KO CHHUPAAYAA

THI KAISI MUSIBAT AABID PAR
DUNIYAA SE GAYI THI JAB KHWAAHAR
DAFNAAYAA USE TO LARZAA THE
AUR DIL THARRAAYAA

SAFDAR MAI LIKHUN KAISE WO SAFAR
ZAINAB NE KIYAA JO TAI RO KAR
ISLAAM PE JISNE PHAILAAYAA
CHAADAR KAA SAAYAA