Anjuman E Sakina



BALWE ME BERIDAA HAI AHMED KI BETIYAAN
KARBAL KI KHAAK SARME HAATHON ME RASSIYAAN

CHAADAR JO SARPE HOTI MAI LAASH DHAANPTI
BHAAI KI LAASH PAR HAI ZAINAB KI SISKIYAAN

KULSOOM AUR ZAINAB DONO RASAN ME HAI
BIMAAR SAARBAAN KE PAAUN ME BEDIYAAN

GHAAZI KAA SAR NA THEHRAA NOUKE SINAA PE CHADKE
KYUN KE BAREHNAA SAR THI ZAINAB SI HASTIYAAN

MAARE HAYAA KE AABID ROTE RAHE LAHU
BAAZAAR SHAAM WAALAA BE PARDAA BIBIYAAN

SAJJAAD US ALI KAA CHASHMO CHARAAGH HAI
JISNE NUFUS DEKE LELI HAI MARZIYAAN

HOTAA AGAR DILAAWAR ABBAAS BIN ALI
DETAA NA SHIMR AISE BACHCHI KO JHIDKIYAAN