Anjuman E Sakina



ROE HAIN ZINDAGI BHAR SAJJAAD AUR SAKINAA
THE SOGWAARE SARWAR SAJJAAD AUR SAKINAA

KARBOBALAA SE KUFAA KUFE SE SHAAM AAYE
BHAAI BAHAN NE KITNE RANJ O ALAM UTHAAYE
EK BHAAI EK KHWAAHAR

PAIRON ME BEDIYAAN THI HAATHON ME HATHKADI THI
SAJJAAD KE LIYE YE MANZIL BOHOT KADI THI
AISE PHIRE HAIN DAR DAR

HOKAR ASIR GUZRE JIS RAAH JIS GALI SE
MAJMAA THAA ASHQIYAA KAA KEHTE BHI KYAA KISI SE
KHAATE RAHE HAIN PATHAR

MAA BEHNE NANGE SAR THI WAARIS NAHIN THAA KOI
NAA MEHRAMON KI NAZREN AUR RAAH SHAAM KI THI
GUZRE NAZAR JUKAA KAR

NEZE PE DEKHTE THE JAB SAR SHAHE ZAMAN KAA
CHEHRAA NAZAR ME PHIRTAA HAR LAASHE BEKAFAN KAA
ROE LIPAT LIPAT KAR

BAAZAARE SHAAM DEKHAA DARBAARE AAM DEKHAA
AAQAA PE HUKM - RAANI KARTAA GHULAAM DEKHAA
SAABIR THE MISLE SARWAR

SOE NAHIN THE DONO SUJI HUWI THI AANKHEN
RORO KE KAAT -TE THE DIN KI TARHA SE RAATEN
ROTE RAHE BARAABAR