Anjuman E Sakina



SAJJAAD YE KAISE BHULEGAA
BAAZAAR MEN JAANAA ZAINAB KAA
AKBAR KE LIYE QAASIM KE LIYE
WOH ASHQ BAHAANAA ZAINAB KAA

JAB SHAAME GHARIBAAN AAYI THI
JAB TANHAA ZEHRAA JAAI THI
WOH KHAAK PE ROTE BACHCHON KO
BEHLAAKE SULAANAA ZAINAB KAA

BAR AAYE LAEEN JAB KHAIMON MEN
JAB SHORE ATASH THAA BACHCHON MEN
DARIYAA KI TARAF WOH MUNH KARKE
GHAAZI KO BULAANAA ZAINAB KAA

BIMAAR KE PAIRON MEN BEDI
JAB EHLE JAFAA NE DAALI THI
KHUD KHAAKAR DURRE AABID KO
DURRON SE BACHAANAA ZAINAB KAA

BAALON SE CHHUPAAYE MUNH APNAA
YUN SHAAM CHALI BINTE ZAHRAA
IS HAAL PE ROYAA TO HOGAA
MARQAD MEN BHI NAANAA ZAINAB KAA

ABBAAS KE BAAZU KATKE GIRE
SHABBIR YE ROKE KEHNE LAGE
BE-CHAADAR AB SAR DEKHEGAA
YE SAARAA ZAMAANAA ZAINAB KAA

NIKLI THI WATAN SE JIS DAM WOH
JUKTAA THAA FALAK BHI PARDE KO
AB SHEHRE SHAAM MEN DEKHE KOI
BEPARDAA AANAA ZAINAB KAA

KHANJAR KE TALE SARWAR BOLE
YUN ASHQ BAHAA KAR AADAA SE
PAAMAAL MERAA LAASHAA KARNAA
PAR DIL NA DUKHAANAA ZAINAB KAA

KHAATUNE QAYAAMAT AAYEGI
JAB HASHR MEN TAB FARMAAYEGI
RAIHAAN PARHAA JO NAASIR NE
WOH NAUHAA SUNAANAA ZAINAB KAA