Anjuman E Sakina



YAA NABI FARIYAAD HAI MAULAA ALI FARIYAAD HAI

TEERE SITAM PHIR CHALNE LAGE
SHOLON SE HAI KHAIME JALNE LAGE
QURAAN KE PAARE JALNE LAGE
KARBALAA KI DAASTAAN EK KHUN BHARI RUDAAD HAI

SHABBIR KAA SAR NEZE PE CHARHAA
MAQTOOL NE JAB QURAAN PARHAA
RONE KAA HARAM ME SHOR BARHAA
TAA QAYAAMAT KHUN RULAAYE ZULM WO BE DAAD HAI

PAANI KO TARASTI THI BACHCHI
AKBAR KE LAGE DIL PAR BARCHHI
KHOD GAYI TURBAT ASGHAR KI
ZAALIMON BHULE NAHIN HAR ZULM HAMKO YAAD HAI

ZAINAB SE KEHTI HAI BAANO
HAIN CHAARO TARAF QAATIL DEKHO
DAAMAN ME CHHUPAALO BACHCHON KO
YAA ALI AAWO SAKINAA TAALIBE IMDAAD HAI

MAARO NA TAMAACHE SHIMRE LAEEN
BACHCHI KE NA GAUHAR CHHINE KAHEEN
DUKHIYAA KAA SAHAARAA KOI NAHIN
YAA ALI AAWO SAKINAA TAALIBE IMDAAD HAI

HAI KHAAK URHAATE PAIGHAMBAR
ZEHRAA-O-ALI HAI NAUHAA GAR
HAR SU HAI QAYAAMAT KAA MANZAR
GULSHANE AHMAD JAMIL AISAA HUWAA BARBAAD HAI