Anjuman E Sakina



HAAYE SAJAAD - BAAZAARE SHAAM

KARBAL KE MUSAFIR KO LOGO
YE WAQT KAHAAN LE AAYAA HAI
SAJJAAD MERAA QAIDI BANKAR
BAAZAARE SHAAM ME AAYAA HAI

ZAINAB YE DUAAEN KARTI THI
AI KAASH MUJHE MOUT AAJAAYE
WO DEKH RAHAA HAI BE PARDAA
JO GHAIRAT KAA SARMAAYAA HAI

AB AUR QAYAAMAT KYAA HOGI
WO SAR KO JUKAA KAR KEHTAA HAI
MAA BEHNE PHUPHI HAI BE CHAADAR
IS GHAM NE MUJHE TADPAAYAA HAI

ZAALIM KI ZUBAAN PAR AATAA HAI
JAB NAAM KISI SAIDAANI KAA
YE DEKH KE MERE AABID NE
AANKHON SE LAHU BARSAAYAA HAI

KYUN BAITH GAYAA CHALTE CHALTE
BIMAAR SE YE KOI PUCHHE
KYUN HAATH RAKHAA HAI SINE PAR
NAA JAANE KYAA YAAD AAYAA HAI

DARBAARE YAZIDI ME POHNCHAA
JIS WAQT MUHAMMAD KAA KUNBAA
THAA WAQT YEHI KAL ZEHRAA PAR
JO BINTE ALI PAR AAYAA HAI

KEHTITHI SAKINAA RO ROKAR
DAAMAN ME CHHUPAALO AI AMMAA
MAANGAA HAI KANIZI ME MUJHKO
ZAALIM NE SITAM YE DHAAYAA HAI

WO KHUN BHARAA KURTAA HI BANAA
BACHCHI KAA KAFAN JAB MOUT AAYI
TAARIKH SITAM KE ZINDAAN ME
AABID NE USE DAFNAAYAA HAI

IRFAN-O-MAZHAR RO ROKAR
KARTE HAIN DUAA AI KAASH KABHI
PAIGHAAM YE AAYE MAULAA NE
ROUZE PE TUMHE BULWAAYAA HAI