Anjuman E Sakina



SURA-E-KAHF TILAAWAT KAR MERI CHAADAR KOI NAHIN
LOG BOLE SARE NEZAA HAI TERE SAR PAR KOI NAHIN

TERAA QUR’AAN SUNAANAA HI MERAA PARDAA HOGAA
EK EHSAAN YE ZAINAB PE BHAAI TERAA HOGAA
CHAAR JAANIB YE SITAMGAR HAI AUR YAAWAR KOI NAI

AAG AUR KHUN KE SAMANDAR SE AAYI ZAINAB TERI
KIS TARHA DIL KO SAMBHAALEGI BHAAI ZAINAB TERI
KHAAK URHAATI HUN ISI GHAM ME MERE SARPAR KOI NAI

WO JISE DEKH KE SURAJ BHI MUNH CHHUPAAYE APNAA
AB WOHI MARKAZE GHAIRAT HAI BE RIDAA BE MAKNAA
HAAYE IS SE TO BADAA SADMAA MERE DILPAR KOI NAI

DEKH UTHTI HAIN YE NAA PAAK NIGAAHEN MUJH PAR
SAR GIRAA GHAAZI KAA NEZE SE DEKH KAR YE MANZAR
USKI GHAIRAT KO GAWAARAA HI AISAA MANZAR KOI NAI

MUJHKO BAAZAARON ME LE AAYAA MUQADDAR BHAYYAA
MOUT AAYE TERI ZAINAB KO YE DUAA KAR BHAYYAA
KYAA KARE JI KE BHALAA ZAINAB BARAADAR KOI NAI

SAATH AAYI THI MAI TERE AB KAISE GHAR JAAUNGI
TERI FURQAT KAA MAI GHAM LEKAR MAI BHI MARJAAUNGI
TU JAHAAN MAI BHI WAHAAN BHAYYAA AB MERAA GHAR KOI NAI

MAA BHI DARBAAR ME AAYI THI AB MUJHE JAANAA HAI
EK YEHI BAAT MASAAEB KAA HAI JO DOHRAANAA HAI
SOZ ISKE TO SIWAA BHAYYAA MERE DILPAR KOI NAI

ASHK HAI NAALAA KUNAA DIL BHI HAI TADAPTAA MAZHAR
KAISE RUDAAD MASAAEB KE YE SUNAAE SAFDAR
KYUN NAHIN ROE KE SINE ME DIL HAI PATHAR KOI NAI