Anjuman E Sakina



HAI SHAAM KAA BAAZAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB
SAAYAA HAI NA DIWAAR KAHAAN AAGAYI ZAINB

KIS SHAAN SE KIS SHEHR SE KIS GHAR SE CHALI THI
YE HOKE GIRAFTAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB

HAI EHLE HARAM QAID YAHAAN SAB YAHAAN AADAA
KISSE KARE IZHAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB

HAI KEHKAHEN HAR LABPE HAR EK HAATH MEN HAI SANG
DURRON KI HAI BOCHHAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB

BE-DINON KE MAJME MEN RASAN BASTAA KHULE SAR
HAI DEEN KE SARDAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB

NEZAA HAI HAR EK HAATH MEN HAR HAATH MEN NASHTAR
SAB DETE HAI AAZAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB

AB DEKHE NAVED AAKE CHHUPE-GAA KAHAAN BAATIL
KARNE KE LIYE WAAR KAHAAN AAGAYI ZAINAB