Anjuman E Sakina



SHAAMKE MAJME ME TANHAA ZAINABE DILGEER HAI
SAR BAREHNAA HAI WOHI JO MAALIKE TATHEER HAI

KAR DIYE QURBAAN BETE BHAAI BHI MAARA GAYAA
KARBALAA ME JISKI PURI LUTGAYI JAAGIR HAI

QAAFELE KAA JO MUHAARl HAI BOHOT BIMAAR HAI
TOUQ GARDAN ME PADAA HAI PAAUN ME ZANJEER HAI

TUNE SAR URYAAN DEKHAA ZAINAB-O-KULSUM KAA
ZINDAGI BHAR KHUN RONAA HI TERI TAQDEER HAI

AB TO ZINDAAN KI ZAMEEN PAR NIND KARNI HAI TUJHE
DUR TUJHSE Al SAKINAA SINAA-E-SHABBIR HAI

TEEN AAENGE TREPAN MEHMILON SE LOUT KAR
YEHI TO SUGHRAA TUMHAARE KHWAAB KI TAABIR HAI

ROTE HAI JAWWAAD SUNKAR JAB TO MILTAA HAI SUKUN
NAUHAA-E SAADAAT ME BHI KIS QADAR TAASIR HAI