Anjuman E Sakina



MAA KEHTI HAI ROROKE ZINDAAN MEN KHUDAAYAA
KOI SAAHIBE AWLAAD KAFAN LEKE NA AAYAA

GHAR HOTI RIDAA SARPE TERAA KAFAN BANAATI
MAADAR TERI MAJBOOR HAI AUR DES PARAAYAA

HAAE DURR BHI CHHINE AUR TAMAACHE BHI HAI KHAAYE
JAB SARSE SAKINAA KE UTHAA BAAP KAA SAAYAA

ZINDAAN DARE ZINDAAN RAHI MAASUM TADAPTI
AFSOS MUSALMAAN KO ZARAA REHM NA AAYAA

KAANON KO CHHUPAA LETI NAZAR AATAA SHIMAR JAB
MAASUM KO ZAALIM NE HAI KUCHH AISE DARAAYAA

SOTI THI KABHI BAAP KE SINE SE LIPAT KAR
HAAE KHAAK KE BISTAR PE USE KISNE SULAAYAA

NA AAYE MUSALMAAN JANAAZAA BHI UTHAANE
HAAE AALE MUHAMMAD PE HAI KYAA WAQT YE AAYA

THE HAATH BANDHE KAISE WOH BIMAAR KE DONO
PHIR KIS TARHA AABID NE HAI LAASHE KO UTHAAYAA

ZULMAT KE ANDHERON MEN THI WOH AAKHERI HINCHKI
SAJJAAD NE JAB AAKE SAKINAA KO JAGAAYAA

ASGHAR KO DAFAN SHAAH NE BE-KAFAN KIYAA THAA
ZINDAAN MEN SAKINAA PE WOHI WAQT HAI AAYAA

MOHTAAJE KAFAN KYUN TERI MAYYAT THI SAKINAA
HAAE SHAAM KE LOGON KO ZARAA TARAS NA AAYAA

MEHSHAR MEN WOHI LOG JAHANNAM MEN JALENGE
JIN LOGON NE ZAHRAA KE BHARE GHARKO JALAAYAA

HAAE GULSHANE ZAHRAA KI HAI NAAYAAB KALI KO
SARDAARE LAEENON NE HAI ZINDAAN MEN RULAAYAA