Anjuman E Sakina



ZAINAB KI RIDAA CHHINTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN
ABBAAS KAHAAN HAI
AULAADE NABI ROTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN
ABBAAS KAHAAN HAI

HAR SIMT SITAMGAR HAI KOI AAKE BACHAAYEE
DUKH DARD MITAAYE
QISMAT BHI MERI ROTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

MAI DUKHTARE HAIDAR HUN KHATAA ITNI HAI MERI
SEHTI HUN YE SAB BHI
YE BAAT MUJHE DANSTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

BAR JISKAA KHULAA SHAMSO QAMAR NE BHI NA DEKHAA
WOH BIBI BE PARDAA
YE KARBOBALAA KEHTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

TATHEER KI WAARIS HUN RIDAA SARPE NAHIN HAI
MAI KARTI HUN NAALE
EK DIL ME CHUBHAN HOTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

BAITHI HAI GARM RETI PE MAASOOM SAKINAA
ROTI HAI HAZINAA
YE BACHI MERI PYAASI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

SOTE HAIN ISI DASHT ME SAB GOD KE PAALE
IS GHAR KE UJAALE
AB HAR TARAF TANHAAI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

KARTI HAI SARE LAASHAE SHABBIR YE NAUHAA
HAI HAI MERAA BACHAA
YE BETI PAYAMBAR KI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

SARDAARE JINAA JISKE BARAADAR HO WOH ZAINAB
RO R0 KE KAHE AB
NEZE PE RIDAA ROTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

JALTE HUWE KHAIMON KAA DHUAAN SAANS KO ROKE
UTH-TE HUWE SHOLEN
HAR SAANS YEHI KEHTI HAI AI SHAAME GHARIBAAN

MAZHAR WOH ZAMEEN KARBOBALAA NAAM HAI JISKAA
WAA HASRAT-O-DARDAA
AB TAK YE SADAA AATI HAI Al SHAAME GHARIBAAN