Anjuman E Sakina



BAHEN GHAREEB HAI BHAYYAA KAFAN BHI LAA NA SAKI
AI BHAAI EHLE SITAM SE TUJHE BACHAA NA SAKI

WO JISKI SHAADI KAA ARMAAN THAA MUJHE BHAYYAA
MAI AISI UJDI KE DULHAA USE BANAA NA SAKI

KAHAA RUBAAB NE ROKAR YE PYAASE ASGHAR SE
MUJHE YE GHAM HAI KE PAANI TUJHE PILAA NA SAKI

AI BHAAI SHAAME GHARIBAAN KE GUP ANDHERE MEN
TUMHAARI BETI SAKINAA KO NIND AA NA SAKI

DAFAN TAMAAM SHAHEEDON KE HOGAYE LAASHE
MAI APNE BHAAI KI TURBAT MAGAR BANAA NA SAKI

GHAREEB BHAAI KAA MAATAM NA KARSAKI ZAINAB
TUMHAARI LAASH PE AANSU BHI MAI BAHAA NA SAKI

YAZIDIYAT NE TO CHAAHAA HUSAINIYAT NA RAHE
GHAME HUSEIN KO DUNIYAA MOHIB MITAA NA SAKI