Anjuman E Sakina



SHABBIR KE SAJDE KO KHUDAA DEKH RAHAA HAI
KHANJAR TALE PYAASE KAA GALAA DEKH RAHAA HAI

GARDAN PE CHHURI SAJDE MEN SAR LAB PE DUAA HAI
MAZLUM KI HAR NEK ADAA DEKH RAHAA HAI

SAR HAI KAHIN TAN HAI KAHIN BAAHEN LABE DARIYAA
BIKHDAA HUWAA QURAANE WAFAA DEKH RAHAA HAI

HAI KHUN MEN DUBI HUWI TASWIRE PAYAMMBAR
UMMAT SE MUHAMMAD KO KHAFAA DEKH RAHAA HAI

RUKHSAARE SAKINAA PE TAMAACHON KE NISHAAN HAI
YAA NAUHAA YATIMI KAA LIKHAA DEKH RAHAA HAI

JO AAYA-E TATHEER KI TAFSEER BANI THI
US BIBI KI NEZE PE RIDAA DEKH RAHAA HAI

HAR WAQT SIYAAH POSH HAI SHABBIR KE GHAM MEN
KAABE KO BHI MASRUFE AZAA DEKH RAHAA HAI