Anjuman E Sakina



HUSAIN ZULMATON ME GAUHARE TAABINDAA HAI
KE JIS KE HONE SE INSAANIYAT PA -INDAA HAI

SAWAARE DOSHE RISAALAT KE SAR NE NEZAA PAR
QURAAN SUNAA KE DIKHAAYAA SHAHEED ZINDAA HAI

NA POHNCHAA PAANI NA LAASHAA BHI JAAE KHAIMON ME
KANEEZ ZAADAA TERI BETI SE SHARMINDAA HAI

SITAARE MAAND HAI MAATAM FIZAAEN KARTI HAI
GHAME HUSAIN ME MAGHMOOM HAR PARINDAA HAI

UDAAS QABRE NABI ROTAA HAI DIL SUGHRAA KAA
SHAHEED TERI SHABIH HOGAYI KE ZINDAA HAI

JO SAR BAREHNAA NAZAR AAYI GHAAZI KO ZAINAB
YE SAR NE GIR KE BATAAYAA SHAHEED ZINDAA HAI