Anjuman E Sakina



SUGHRAA GHASH SE CHOUNK KAR UTHI
BOLI SAR KO PEET TI HUWI
HAAYE MERI NEEND UDGAYI
MERE BAABAA KHAIRIYAT SE HON

DEKHAA AAJ MAINE KAISAA KHWAAB
RET PAR PADE THE KUCHH GULAAB
CHUN RAHE THE JINKO BUTURAAB
KHUN RO RAHAA HAI AAFTAAB

EK TARAF ALAM HAI KHUN ME TAR
JUK GAYI HAI SHAAH KI KAMAR
JAA RAHI HAI JIS TARAF NAZAR
BIBIYAAN KHADI HAI NANGE SAR

HAAYE HAAYE QAASIME JAWAAN
BAIN KAR RAHI HAI JISKI MAA
HILGAYE ZAMEZEN – O – AASMAAN
JAB SUNAA YE BEWAA KI FUGHAAN

EK BACHCHI SINA - E PADAR
DHUNDHTI RAHI IDHAR UDHAR
BAAP SO RAHAA THAA KHAAK PAR
JIS KE TAN SE KAT CHUKAA THAA SAR

QAID HAI RASOOL ZAADIYAAN
HAATH ME BANDHI HAI RASSIYAAN
BE KAJAAWAA HAI AMAARIYAAN
KHUN RO RAHAA HAI SAARBAAN

KHWAAB YE BADAA AJEEB THAA
BAADSHAAHE DEEN GHAREEB KAA
KYAA YEHI MERAA NASEEB THAA
BE KAFAN MERAA TABEEB THAA

SARWAR - O - RAIHAAN KI DUA
HO QUBOOL SHAAHE KARBALAA
KOI BETI AUR IS TARHAA
PHIR TADAP KE YUN NA DE SADAA