Anjuman E Sakina



JAAWUN MAI SAATH TERE KOI TADBEER BANE
HAMSAFAR AI ALIAKBAR TERI HAMSHEER BANE

BAABAA KYA HAI YEHI TANHAAI MERE TAP KAA ILAAJ
MERI BHI BAALI SAKINAA KI TARHAA RAKH DE LAAJ
KUCHH TARAS KHAAEN KE SUGHRAA KI BHI TAQDEER BANE

LEKE JAATE NAHIN GAR SAATH TO KHAT LIKH DENAA
KHAIRIYAT ASGHARE MAASUM KI LIKHTE REHNAA
ZINDAGI AISE MERI AAP KI TEHREER BANE

EK MAA KHAIME KE DARPAR YE KHADI SONCHTI THI
HURMALAA TERI QAZAA HAI ALI ASGHAR KI HASI
MOUT AGAR ASGHARE MAASUM KE LIYE TEER BANE

ARSH SE TUT KE MAQTAL ME SITAARE BIKHDE
KHAAKE KARBAL PE JO QURAAN KE SIPAARE BIKHDE
AABID US DEEN KE QURAAN KI TAFSEER BANE

HAR QADAM SABR KIYAA US SE YUN HAARI DUNIYAA
FIKRE SAJJAAD KE HALKE ME HAI SAARI DUNIYAA
ZULM BADKAR BHI FAQAT PAAUN KI ZANJEER BANE

KHUN ROTI RAHI WOH SHAAM KE BAAZAARON MEN
UNKO BEPARDAA PHIRAAYAA GAYAA DARBAARON MEN
JINKE CHEHRE REHLE AAYA-E-TATHEER BANE

ASHQ ZAKHME DILE ZEHRA KE LIYE HOKAR HAM
BIBI ZEHRAA KE LIYE HOGAA DILAASAA MAATAM
NAUHE LIKHUN TO ZAFAR KHULD ME JAAGEER BANE