Anjuman E Sakina



ZINDAAN KE ANDHERON ME SAKINAA KI SADAA THI
AMMAA PHUPHI AMMAA MUJHE BAABAA SE MILAADO

AAYE THE MUJHE KHWAAB ME LENE MERE BAABAA
ZAKHMI THAA BADAN KHUN ME DUBAA THAA AMAAMAA
IS KHWAAB KI JALDI MUJHE TAABIR BATAADO

IS TARHA KAA ZINDAAN KABHI DEKHAA NA SUNAA HAI
EHSAASE YATIMI MERAA DAM GUNT RAHAA HAI
MAI KITNI HUN BEKAS MERE AMMU KO BATAADO

HAI KOI UJAALAA NA HAWAAON KAA GUZAR HAI
PUR KHOUF ANDHERAA YAHAAN TAA HADDE NAZAR HAI
MUMKIN HO TO ZINDAAN SE AAZAAD KARAADO

YE KAISE SITAMGAAR HAI JINE NAHIN DETE
HANSNAA TO BOHOT DUR HAI RONE NAHIN DETE
KYAA MERI KHATAA HAI MUJHE BAS ITNAA BATAADO

AMMU KE KATE HAATH MERI TUT GAYI AAS
DARIYAA SE PALAT KAR NAHIN AAYE CHACHAA ABBAAS
PYAASI HUN BOHOT KIS SE KAHUN PYAAS BUJHAADO

SAR RAKHE HUWE ZAANU-E ZAINAB PE SAKINAA
CHUP HOGAYI YE KEHTI HUWI SHEH KI YATIMAA
EK BAAR MUJHE SINA-E SARWAR PE SULAADO

ZAINAB KAA JIGAR PHAT GAYAA BEHNE LAGE AANSU
MAADAR KE DUKHE DIL PE BHI HO PAAYAA NA QAABU
KEHTI THI PHIR EK BAAR YE AAWAAZ SUNAADO

FAIZAAN KE DIL ME HAI FAQAT EK TAMANNAA
YE MARSIA LIKHE KABHI LIKHTAA RAHE NAUHAA
YAA SAANIE ZEHARAA ISE BAS ITNI DUAA DO