Anjuman E Sakina



ZAINAB KO PHIRAAYAA JAHAAN GALIYON ME KHULE SAR
SHAAM WAHI HAI YE SHAAM WAHI HAI
HAR GAAM PE KHAAYE JAHAAN SAJJAAD NE PATHAR
SHAAM WAHI HAI YE SHAAM WAHI HAI

YE GALIYAAN WOHI GALIYAAN HAI BAAZAAR WOHI HAI
HAR MOD WOHI SHAAM KAA DARBAAR WOHI HAI
WO JISKAA ALI BETI KO BATLAATE THE AKSAR

HAR GAAM JAHAAN MAJMA-E AGHYAAR KHADAA THAA
BIMAAR ALI AABID JAHAAN GHASH KHAAKE GIRAA THAA
ROTAA THAA JAHAAN NEZE PE KHUN SHEH KAA KATAA SAR

ZAD PAR THI NIGAAHON KI JAHAAN SAANIE ZEHRAA
NEZE SE JAHAAN GIRTAA THAA SAR SHAAHE WAFAA KAA
CHAADAR KI SAWAALI THI JAHAAN ZAINABE MUZTAR

LAGTE THE JAHAAN BAALI SAKINAA KO TAMAACHEN
BIMAAR PE BARSAAE GAYE THE JAHAAN DURRE
TURBAT KO JAHAAN CHHOD KE KHUD AAYE THE HAIDAR

YE SHAAM HAI WO JAB YAHAAN GUNJI THI AZAANEN
ROKAR SARE AKBAR KI TARAF DEKHAA THAA MAA NE
SHIDDAT SE JAHAAN AAYI THI YAADE ALI AKBAR

HAI QAID JAHAAN AAJ BHI ZINDAAN ME SAKINAA
AB TAK JAHAAN TURBAT ME TADAPTI HAI HAZINAA
BAABAA KE LIYE ROTI HAI AB TAK JAHAAN DUKHTAR

AI NURE ALI KEHTAA HAI YE NAASIR-E ZAIDI
ZAWWAAR SALAAMI KE LIYE AAYE HAIN BIBI
ASHQ AANKHON ME HAI AUR YE NAUHAA HAI LABON PAR