Anjuman E Sakina



ZAINAB AAGAYI HAI SHAAM MERI RIDAA KE PAASBAAN
RIDAA LAAKE URHAADE
KHULAA HAI SAR SARE BAAZAAR RIDAA LAAKE URHAADE
AI MERE GHAAZI ALAMDAAR RIDAA LAAKE URHAADE

MAI BU TURAAB KI BETI HUN KYUN NA FARIYAADI
AGAR WO TOUQ-O SALAASIL SE PAAYE AAZAADI
WO MERAA AABIDE BIMAAR RIDAA LAAKE URHAADE

WO BERIDAAI KE SADME KO KAISE JELEGAA
YE DARD AABIDE MUZTAR KI JAAN LELEGAA
GUZAR NA JAAE DIL AFGHAAR RIDAA LAAKE URHAADE

MUJHE CHHUPAALE MERE GHAAZI IN NIGAAHON SE
SABEEL AISI BANAA KOI TAI HON YE RASTE
NA DEKHE MUJHKO SITAMGAAR RIDAA LAAKE URHAADE

GHAREEB HOGAYI UMMAT NE DI SAZAA MUJHKO
TU DEKH PAATAA NAHIN GHAAZI BERIDAA MUJHKO
SINAA SE GIRTE HAIN HAR BAAR RIDAA LAAKE URHAADE

TUJHE SAKINAA KE ASHQON KI HAI QASAM GHAAZI
TAMAAM UMR MAI PHIR TUJHSE KUCHH NA MAANGUNGI
AI IBNE HAIDARE KARRAAR RIDAA LAAKE URHAADE

TUJHE TO BAABAA NE BAKSHI HAI MASNADE AALI
SAWAALI KOI TERE DAR SE KAB GAYAA KHAALI
ZAMAANE BHAR KE MADADGAAR RIDAA LAAKE URHAADE

KABHI JO GHAR SE NIKALTI MAI SHAAN ME EK BAAR
TU BARH KE LOGO SE KEHTAA THAA BAND KARO BAAZAAR
WOHI HAIN HAM WOHI BAAZAAR RIDAA LAAKE URHAADE

SARE HUSAIN BHI ROTAA HAI NOUKE NEZAA PAR
PADAR BHI ROTE HAIN NAANAA BHI BAS YEHI KEHKAR
KHULE SARON KE WAFAADAAR RIDAA LAAKE URHAADE

SADAA YE SHAAM SE AATI HAI MAZHAR-O IRFAAN
TADAP KE AAJ BHI KEHTI HAI ZAINAB-E ZISHAAN
MERI RIDAA KE NIGEHBAAN RIDAA LAAKE URHAADE