Anjuman E Sakina



YE MAI HUN MAI MERI TANHAAI YE TAMAASHAAI
LO AAYI GYAARA MUHARRAM HAI KYAA KHABAR LAAYI
CHALI HAI JAANIBE ZINDAAN TUMHAARI MAAJAAYI
SAWAAR HAM NE KIYAA THAA TUMHE MERE BHAAI
AB AAWO YAA MUJHE KEHDO NA INTEZAAR KARO
UTHO HUSAIN BAHAN KO ZARAA SAWAAR KARO

SAWAAR HAMNE KIYAA THAAA TUMHE DAME RUKHSAT
LAGAAM THAMI THI MAI NE BA HAALAATE RIQQAT
KAHAAN GAYI WO MOHABBAT KAHAAN GAYI CHAAHAT
AMAAMAA APNAA MERE SAR PE SAAYAA BAAR KARO

WATAN SE DOOR HUN KUCHH AUR DOOR JAATI HUN
UTHO UTHO MERE BHAYYAA TUMHE JAGAATI HUN
KOI BHI AATAA NAHIN MAI JISE BULAATI HUN
QARAARE JAAN MERE MUJHKO NA BEQARAAR KARO

SAFAR MADINE SE KAISAA THAA YE SAFAR KYAA HAI
NA MEHMILEN HAIN NA HAWDAJ NA KOI PARDAA HAI
HAI SAR ME KHAAK YE KARBOBALAA KAA SEHRAA HAI
NA JI SAKUNGI TERE BAAD ETEBAAR KARO

DAR-E FURAAT PE AI SONE WAALE JAAG ZARAA
ALAM KE SAAYE ME RUKHSAT BAHAN KO KAR BHAYYAA
SUNAA HAI SAKHT KATHAN HAI YE SHAAM KAA RASTAA
SEHEL YE RAASTAA ABBAAS-E NAAMDAAR KARO

MAI AAWUNGI MERE BHAYYAA ZUROOR AAWUNGI
KAFAN URHAAUNGI MARQAD TERAA BANAAUNGI
JAHAAN BHI JAAUNGI FARSHE AZAA BICHHAAUNGI
MAI QAID KAAT KE LOUT AAWUN INTEZAAR KARO

RAGON ME KHUN BADAN ME JO SAANS JAARI HAI
TUMHAARI SARWAR-O RAIHAAN ZIMMEDAARI HAI
JAHAAN JAHAAN MERE BHAAI KI PURSAA DAARI HAI
TUM APNE NAUHON SE DUNIYAA KO SOGWAAR KARO