Anjuman E Sakina



SHAAM KAA BAAZAAR SHAAM KAA DARBAAR
BHULE NAHIN AABIDE BIMAAR

NAAQON PE BEPARDAA CHALI AALE PAYAMBAR
GHAIRAT KAA KHUDAA KAISE BHULAAEGAA WO MANZAR
NAUHAA KUNAAN THI ITRATE ATHAAR

AANKH SE BEHTE HI RAHE KHUN KE DHAARE
SAR KO UTHAA BHI NA SAKAA SHARM KE MAARE
CHAARO TARAF THE KITNE SITAMGAAR

EK RASAN BAARAA GALE AUR KHULE SAR
PAAUN KE CHHAALE BHI BUKAA KARTE THE UN PAR
KAISE KATE WO RAASTE DUSHWAAR

WAQT NE KYAA KYAA NA SITAM DHAAYE HARAM PAR
LOGON NE PATHRAAO KIYAA HAAE HARAM PAR
NEZE PE ROE SAYYADE ABRAAR

NAAM NABI ZAADI KAA NAA PAAK ZUBAAN PAR
KAISAA SAJAAYAA GAYAA BAAZAARE SITAMGAR
HAAE WO QAIDI HAAE WO BAAZAAR

KAISAA MILAA LOGON SE YE AJRE RISAALAT
CHASHME FALAK RONE LAGI DEKH KE GHURBAT
AALE PAYAMBAR BAR SARE DARBAAR

DEKH KE BAAZAAR ME ZAINAB KO KHULE SAR
ZULM KE NEZE SE WAHIN JALTI ZAMEEN PAR
KAISE GIRAA THAA SARE WAFAADAAR

HAAE WO NAAMUSE NABI AUR WO GALIYAAN
ROTI THI TAQDEER KABHI AUR WO GALIYAAN
GARD BANE THE QAAFELAA SAALAAR

ASHQ BANE KHUNE JIGAR KYAA LIKHE MAZHAR
NAUHAA ALI KAISE BHALAA AAYE LABON PAR
SAKHT HAI MUSHKIL DARD KAA IZHAAR