Anjuman E Sakina



SARE HUSAIN KUJAA SHAAM KAA DARBAAR KUJAA
HUJOOME AAM KUJAA AALE BU-TURAAB KUJAA

KAHAAN SE JAANTE SHEH KO YE ZAALIMAANE ARAB
AGAR CHE SUKHE HUWE THE YATEEM BACHCHON KE LAB
ZABAANE SHAAH KUJAA AUR SAWAALE AAB KUJAA

WO SHOR-E HASHR BAPAA THAA SUNI KISI NE KAHAA
HAZAAR KHAIME KE DAR SE PUKAARTI RAHI MAA
ANI-E NEZAA KUJAA SINAA-E SHABAAB KUJAA

LAGAA JO TEER GALE PAR TO DEKHTI THI MAA
WO BACHCHAA DEKHTE HI DEKHTE HUWAA BEJAAN
KE SHIR KHWAAR KUJAA AUR DIL-E RUBAAB KUJAA

YE SINAA BOSAGAAHE BAADSHAAH-E KAUN-O MAKAAN
QASAM KHUDAA KI YE SINAA HAI BOLTAA QURAAN
KE PAAE SHIMR KUJAA SINAA-E KITAAB KUJAA

KOI TO PUCHHE KE AABID PE KYAA GUZARTI HAI
GALE KE TOUQ SE ZANJIR-E PAA GUZARTI HAI
TANE NAZAAR KUJAA ZULM BE HISAAB KUJAA

KALAAM THAA LABE ZAINAB SE IS TARHAA JAARI
LARAZ RAHE THE DAR-O BAAM SHAAH-O DARBAARI
KUJAA WO SHAAM KAA DARBAAR WO KHITAAB KUJAA