Anjuman E Sakina



ROROKE PUKAARI NAANAA KI DULAARI
NAANAA AI MERE NAANAA MAI AAGAYI MADINAA
SUGHRAA SE KYAA KAHUNGI MUSHKIL HAI MERAA JINAA

APNI RIDAA LUTAA KE
KHUTBE SUNAA SUNAA KE
DIWAARE ZULM DHAA KE

BALWE ME THI KHULE SAR
BEPARDAGI KE PATHAR
KHAA KHAA KE ASHQIYAA SE

ZINDAAN ME THAA ANDHERAA
CHAARON TARAF THAA PEHRAA
AANKHON SE KHUN BAHAA KE

AAYI NAHIN SAKINAA
PHAT-TAA HAI MERAA SINAA
USKO WAHIN SULAA KE

NOUKE SINAA PE SAR THE
HAM LOG NAUHAAGAR THE
FARSHE AZAA BICHHAA KE

SAJJAAD NAATAWAAN THAA
AANKHON SE KHUN RAWAAN THAA
BIMAAR KO BACHAA KE

BAAZU PE KHASTAA TAN KE
YE DAAGH HAI RASAN KE
NAANAA SITAM UTHAA KE

TUKDE CHUNE BADAN KE
QAASIM BINE HASAN KE
USKO BHI YUN GAWAA KE

MATTI KO KARBALAA KI
YE AAP KI NAWAASI
KHAAKE SHIFAA BANAA KE

ATHAARAA BHAAIYON KI
HAI HAI BAHEN THI QAIDI
QAIDE SITAM NIBHAA KE

MAISAM BA ROUZE MEHSHAR
RAIHAAN BINTE HAIDER
ZAINAB KAHEGI AAKE