Anjuman E Sakina



KHUN ME DUBAA HUWAA GHAAZI KAA ALAM AATAA HAI
GHAM SE BEHAAL SARE DASHT NABI ZAADAA HAI

SHEH KAMAR THAAME HUWE BAN ME KHADE HAIN KHAAMOSH
HAAL SHABBIR KAA AB DEKHAA NAHIN JAATAA HAI

SUKHE KUZON KI TARAF DOUDE TADAP KAR BACHCHE
JAB YE KHAIMON ME SUNAA RAN SE ALAM AATAA HAI

BHAYYAA ABBAAS MUJHE KISKE SAHAARE CHHODAA
SUNKE ZAINAB KI SADAA LAASHAA TADAP JAATAA HAI

IS QADAR SEHM GAYE BACHCHE KE ROTE BHI NAHIN
HAR TARAF PHAILAA HUWAA MOUT KAA SANNAATAA HAI

HAAE ABBAAS KAHAA ROYI TADAP KAR ZAINAB
JAB SAKINAA KE LIYE PAANI KABHI AAYAA HAI

DHUNDHTAA PHIRTAA HAI AB TAK JISE BEHTAA PAANI
AB BHI DUNIYAA ME ZARUR AISAA KOI PYAASAA HAI

YE BHI ABBAAS KI AZMAT KAA NISHAAN HAI GAUHAR
UNKE BAAZU BHI NAHIN PHIR BHI ALAM UNCHAA HAI