Anjuman E Sakina



KARBOBALAA KE HAIDAR AAQAA MADAD KO AAWO
AI SHAAH KE BIRAADAR AAQAA MADAD KO AAWO

TUFAAN ME HAI SAFINAA AI AASHIQ-E SAKINAA
JALDI BACHAALO AAKAR AAQAA MADAD KO AAWO

DUNIYAA BHULAA RAHI HAI QURBAANI-E SHAHE DEEN
AI AASHNAA-E SARWAR AAQAA MADAD KO AAWO

LE LE KE KHUSHK KUZE PYAASE KHADE HUWE HAIN
KARDO ATAA SAMANDAR AAQAA MADAD KO AAWO

YE KHUB JAANTI HAI BAAZU NAHIN HAR PHIR BHI
DUNIYAA KHADI HAI DAR PAR AAQAA MADAD KO AAWO

GHURBAT KI LAAJ RAKHLO ULFAT KI LAAJ RAKHLO
AI ETEBAAR-E SARWAR AAQAA MADAD KO AAWO

SHERE KHUDAA KI DUKHTAR ZAINAB KAA WAASTAA HAI
SABR-O RAZAA KE PAIKAR AAQAA MADAD KO AAWO

AZMAT KI SARHADON ME KAUNAIN KI HADON ME
HAI KOUN TUM SE BEHTAR AAQAA MADAD KO AAWO

KITNE GHARO ME BACHCHE BHUKHE BILAK RAHE HAIN
TUM HO GHARIB PARWAR AAQAA MADAD KO AAWO

TAKRAA RAHE HAIN HAM SE ZULM-O SITAM KE LASHKAR
SHERE KHUDAA KE DILBAR AAQAA MADAD KO AAWO

AAINA-E AZAA–E SHAAHE HUDAA KI JAANIB
AANE LAGE HAIN PATHAR AAQAA MADAD KO AAWO