Anjuman E Sakina



JALTE HUWE KHAIMON SE ZAINAB KI SADAA AAYI
ABBAAS KAHAAN HO TUM
NAA SAR PE RAHI CHAADAR NA MERAA BACHAA BHAAI
ABBAAS KAHAAN HO TUM

ABBAAS CHALE AAWO KHAIMON ME GHARIBON KE
BHUKHE AUR PYAASE HAIN LUTE HAIN NASIBON KE
SAJJAAD KO HOSH NAHIN KULSUM HAI GHABRAAYI

JALTI HUWI DHARTI PE MAZLOOM KI LAASH PADI
ROTI HAI SAKINAA BHI BAABAA KE PAAS KHADI
HAI HAAL YATIMAA KAA GHURBAT KI GATAA CHHAAYI

HAAE SHIMR KAMINE NE MAASOOM SAKINAA KE
MAARE HAI TAMAACHE BHI HAAE PHUL SE GAALON PE
AAJAAWO CHACHAA GHAAZI ROROKE WO CHILLAAYI

SHABBIR BARHAA RANME KAEEN ROZ KAA PYAASAA HAI
TEERON SE HUWAA CHHALNI MAZLOOM KAA LAASHAA HAI
NA KAFAN MILAA USKO NAA QABR BHI BANDHWAAYI

MAASOOM YATEEMON KO PAANI KI AAS NAHIN
GHAAZI AB ASGHAR KE HONTON PE PYAAS NAHIN
SHABBIR NE LAASH ISKI HAI RET ME DAFNAAYI

BACHCHON KO DARAAYAA HAI KARBAL KI UDAASI NE
SHAAYAD YE KAHAA HOGAA AHMAD KI NAWAASI NE
MAQTAL ME HAI SANNAATAA AUR MOUT KI TANHAAI