Anjuman E Sakina



HAI SAB KI JOLIYON ME PATHAR YE KOUN SI BASTI HAI FIZZAA
HOTAA HAI CHARAAGHAAN KYUN GHAR GHAR
YE KOUN SI BASTI HAI FIZZAA

PUCHHO TO ZARAA AMMAA INSE
KYUN DEKHNE HAM KO AATE HAIN
HAR SIMT KHUSHI KAA AALAAM HAI
BAAZAAR SAJAAYE JAATE HAIN

SAJJAAD KI AANKHON SE AB TAK
AANSU HI BARASTE DEKHE THE
AB DEKH RAHI HUN MAI USKI
AANKHON SE MUSALSAL KHUN BEHTE
PUCHHO TO KISI SE YE JAAKAR

BAAGHI AAYE BAAGHI AAYE
YE KAISI MANAADI HOTI HAI
LAGTAA HAI ZAMAANE BAAD KOI
IS SHEHR ME SHAADI HOTI HAI
KUCHH AISE SAJE HAIN BAAM-O DAR

HAM SAB KE SARON SE BEHTE HAIN
KIS WAASTE YE KHUN KE DHAARE
KOI KHOULTAA PAANI PHENKTAA HAI
KOI PHENK RAHAA HAI ANGAARE
SAB MILKAR MAARTE HAIN PATHAR

WAADAA JO KIYAA THAA YASRAB ME
AATAA HAI YAAD WOHI WAADAA
MEHSUS MUJHE YE HOTAA HAI
TAKTAA HAI KOI MERAA RASTAA
KYAA SHIREEN KAA HAI PAAS ME GHAR

QUR’AAN SUNAATE JAATE THE
SHABBIR SARE NOUKE NEZAA
ROTAA THAA TAKALLUM IBNE ALI
JAB PUCHHTI THI BINTE ZEHRAA
KYUN GIRTAA HAI ABBAAS KAA SAR