Anjuman E Sakina



EK BACHCHI PHUL SI JISKAA SAKINAA NAAM THAA
RORAHI THI SHAAM KE RAAHON ME WO KARKE BUKAA
KARTE THE TUM KITNAA PYAAR BAABAA
AI MERE NEZAA SAWAAR BAABAA

CHAL NAHIN SAKTI SAKINAA RAASTE DUSHWAAR HAI
AABLE HAIN PAAUN ME AUR AABLON MEN KHAAR HAI
KHAAK HAI NAM ZULFIQAAR BAABAA

NEELE HAIN RUKHSAAR MERE AUR GALE ME HAI RASAN
TASHNAGI BE WAARISI LAACHAARGI AUR BEWATAN
EK HAI DIL GHAM HAZAAR BAABAA

AAP KE SINE PE BAABAA CHAIN SE SOTI THI MAI
AAP TADAPTE JO KISI BAAT PE ROTI THI MAI
ROTI HUN ZAARO QATAAR BAABAA

BERIDAA SAB BIBIYAAN HAIN SHAAM KAA BAAZAAR HAI
ZABT KAA YAARAA NAHIN HAI SABR BHI DUSHWAAR HAI
SABR KE PARWARDIGAAR BAABAA

MIL NA SAKUNGI KABHI MAI AAP SE AI BAABAA JAAN
AAP KAA ROUZAA BANEGAA KARBALAA KE DARMIYAAN
SHAAM ME MERAA MAZAAR BAABAA

YAAD ISI BAAT PE AATAA HAI GHAR AKSAR MUJHE
AAJ KANIZI ME BULAATAA HAI SITAMGAR MUJHE
KOI NAHIN GHAM GUSAAR BAABAA

KHAATI THI JAB BHI TAMAACHE SHIMRE SITAMGAAR SE
AAP KE CHEHRE KI SIMT BEKASI AUR YAAS SE
DEKHTI THI BAAR BAAR BAABAA

KOUN HAI PURSAANE HAAL PYAAS BUJHAAEGAA KOUN
BAALIYAAN MERI SITAMGAARON SE DILAAYEGAA KOUN
SO GAYE JAB JAAN NISAAR BAABAA

MAZHAR AABDI BAYAAN KARTAA HAI IRFAAN SE
AATI HAI AB BHI SADAAEN SHAAM KE ZINDAAN SE
KARTE THE TUM KITNAA PYAAR BAABAA