Anjuman E Sakina



AL MADAD MAULAA RIDHAA AL MADAD MAULAA RIDHAA
ROZ-O SHAB SHAAM-O SAHAR YE WAZIFAA HAI MERAA

AAP KE JAD NE DIYE FITRUS KO JAISE BAAL-O PAR
BAATO BAATON ME MILE RAAHIB KO JIS TARHAA PISAR
BAS USI TARHAA BADALDE N MERI QISMAT KAA LIKHAA

KOUN HAI DIL KI MURAADE N JO WAHAA N PAATAA NAHI N
AAP KE DAR SE KOI BHI KHAALI HAATH AATAA NAHI N
HAM KO DAR SE AAPKE AUQAAT SE ZIYAADAA MILAA

JO TABEEBO N KI NAZAR ME THAA MARIZ-E LAA ILAAJ
DE RAHI THI MOUT KO BHI ZINDAGI JIS KI KHIRAAJ
WO MARIZ-E LAA DAWAA DAR PAR TERE ACHHAA HUWAA

HAI ALI KE LAAL YE SAARI KHUDAAI AAP KI
KAR RAHEN HAIN JAAN-O DIL MIDHAT SARAAI AAP KI
DUR HO MUSHKIL HAMAARI AI MERE MUSHKIL KUSHAA

AAJ BHI DUNIYAA ME JAARI HAI SAKHAAWAT AAP KI
ZARF SE BARH KAR ATAA KARNAA HAI AADAT AAP KI
GHAIB SE HAR EK MOMIN KAA HO AB KARZAA ADAA

WO SHAHE WAALAA KE MAATAM DAAR JO BIMAAR HAIN
HAR GADI JO ISHQE AHLE BAIT SE SARSHAAR HAIN
SAYYADE SAJJAAD KE SADQE ME WOH PAAE SHIFAA

DUBTI KASHTI KO TUFAAN ME KANAARAA MILGAYAA
GHAM KE MAARE BE SAHAARON KO SAHAARAA MILGAYAA
MEER NE BE SAAKHTAA ROTE HUWE JIS DAM KAHAA