Anjuman E Sakina



AI ROZE DAARO AAH-O BUKAA KE YE ROZ HAIN
SAADAAT PE NUZULE BALAA KE YE ROZ HAIN
SAR-TAAJE AWSIYAA KI AZAA KE YE ROZ HAIN
TUMSE WIDAA-E SHERE KHUDAA KE YE ROZ HAIN
ZAKHMI HUWE IMAAM TUMHAARE NAMAAZ MEN
ZAALIM NE ROZAA-DAAR KO MAARAA NAMAAZ MEN

LIKHAA HAI JAB JO NEEM HUWAA FARQE MURTAZAA
SIDRAA SE JIBRAIL KE RONE KAA GUL UTHAA
PHENKI SARON SE ZAINAB-O KULSUM NE RIDAA
CHONKAA KE BHAAIYON KO PUKAARI GHAZAB HUWAA
SUNTE HO JIBRAIL NE US WAQT KYAA KAHAA
SAR PIT KAR WO BOLE KAHAA QATL-E MURTAZAA

DOUDE YE KEHKE JAANIBE MASJID WO NEK ZAAT
DUBI HUWI LAHU MEN MILI KASHTI-E NIJAAT
MAATHE PE KHUN BAAP KAA MAL KAR KAHI YE BAAT
HAI HAI UTHAAYAA QIBLAA-O KAABAA PE KISNE HAATH
RULWAAYAA NAANAA JAAN KO DAARUS-SALAAM MEN
BIN BAAP KAA KIYAA HAMEN MAAHE SAYAAM MEN

NAAGAAH NAMAAZIYON KE GIROH AAYE NANGE SAR
HAIDAR NE MUJTABAA SE KAHAA AANKH KHOL KAR
PAD-WAAO TUM NAMAAZ JAMAA-AT KI AI PISAR
HAM BAITHE BAITHE PAD-TE HAIN APNE MAQAAM PAR
LAIKIN JABEEN KE ZAKHM PE RUMAAL BAANDH DO
MERAA SARE SHIGAAFTAA HAI LAAL BAANDH DO

PAD-WAAKE PHIR NAMAAZ JAMAA-AT KI MUJTABAA
BAABAA KE SAR PE PARH-NE LAGE AAYA-E SHAFAA
NAAGAAH AAKE YE KISI AURAT NE DI SADAA
ZEHRAA KE PYAARON TUMSE YE ZAINAB NE HAI KAHAA
BAABAA KO MERE JALD JO GHAR MEN NA LAAWOGE
TO SAR BAREHNAA MUJHKO BHI MASJID ME PAAWOGE

BOLE ALI HAWAAS ABHI SE BAJAA NAHIN
ZAINAB SE KEHDO KUFAA HAI YE KARBALAA NAHIN
MAI BEDAYAAR-O BEKAS-O BE-AASHNAA NAHIN
SHIAA HAI GIRD NARGHA-E EHLE JAFAA NAHIN
PARDE SE NANGE SAR TU ABHI KYUN NIKALTI HAI
KYAA HALQ PAR HUSAIN KE TALWAAR CHALTI HAI

SHION MEN IS BAYAAN SE HUWAA AUR SHORO SHAIN
LAAYE PISAR GILEEM MEN PA-E SHAAHE MASHRAQAIN
YUN LE CHALE GILEEM MEN HAIDAR KO NURE AIN
KAANDHAA DIYE SIRHAANE HASAN PAA-E TI HUSAIN
AAGE JALU ME RUHE AMEEN NANGE SAR CHALAA
LAASHAA KUNINDA-E DARE KHAIBAR KAA GHAR CHALAA

POHNCHE PISAR JO BAAP KO LEKAR KARIBE DAR
BE-SAAKHTAA NIKAL PADI ZAINAB BAREHNAA SAR
BAAD ISKE YUNHI AAYI THI AKBAR KI LAASH PAR
YE WAAQE-AA THAA BAAP KAA WO MAATAME PISAR
RAKH RAKH KE HAATH AANKHON PE SAB KHALQ HAT GAYI
PHAILAA KE HAATH BAAP SE ZAINAB LIPAT GAYI

BAAHAR SE AAYE ITNE ME SHABBIR NANGE SAR
ZAINAB KO PAAYAA BAAP KI BAALI PE NAUHAA GAR
BOLE KE JAAWO HUJRE MEN AI AASHIQE PIDAR
BAABAA KAA ZAKHM DEKHEGAA JARRAAH AAN KAR
WO BOLI AISE WAQT NA JUDAA HONAA CHAAHIYE
MIL MILKE AB PADAR KE GALE RONAA CHAAHIYE

KHOLAA HASAN NE ZAKHME SARE SHERE KIBRIYAA
JARRAAH NE MUSHAAHIDAA KARTE HI RO-DIYAA
JUK KAR HASAN KE KAAN MEN IZHAAR KUCHH KIYAA
SUNTE HI MUJTABAA NE KALEJAA PAKAD LIYAA
WO AAH KI KE HIL GAYE DIL SAB KE SINE MEN
THARRAA GAYI ZARIH-E PAYAMBAR MADINE MEN