Anjuman E Sakina



ZAINAB KE DULAARE AUN-O MUHAMMAD
AUN-O MUHAMMAD MERE AUN-O MUHAMMAD

BOLI ZAINAB YE MERAA MAAN BARHAANAA BACHON
SURKHURU JANG KE MAIDAAN SE AANAA BACHON
MOUT KO ZIST KAA UNWAAN BANAANAA BACHON
PYAASE SEH ROZ KE HO KHUN ME NAHAANAA BACHON

AAJ KE DIN KE LIYE MAI NE TUMHE PAALAA THAA
IBNE MAGHMUMA-E KAUNAIN HAI MUSHKIL MEN GIRAA
AARZU AUN-O MUHAMMAD HAI TUMHAARI MAA KI
DONO HOJAAO MERE BHAAI KE AKBAR PE FIDAA

ZAKHM MAIDAAN ME TUM KHAAO TO KHUSH HO MAADAR
SHAAN AJDAAD KE DIKHLAAO TO KHUSH HO MAADAR
SUE DARIYAA NA UTHAAKAR KABHI NAZREN DEKHO
PYAASE DUNIYAA SE GUZAR JAAO TO KHUSH HO MAADAR

DAM KARUN NAADE ALI SAR KO JUKAALO BACHON
SAARE ARMAAN LADAAI KE NIKAALO BACHON
HAAYE SEHRAA NA SAJAA SAR PE TUMHAARE LAIKIN
MOUT KO AAJ DULHAN APNI BANAALO BACHON

HUBB ZAINAB KAA BAJAA LAAYE DULAARE BACHCHE
MOUT TO HAAR GAYI RAN ME NA HAARE BACHCHE
DEKH KAR LAASHE PUKAARI YE ALI KI BETI
SURKHURU MAI HUWI DUNIYAA SE SIDHAARE BACHCHE

JAAFRI ROYI KAHAAN BACHCHON KO BINTE ZEHRAA
HAA MAGAR LOUT KE JAB GHAR ME WO AAYI DUKHIYAA
KHAALI HUJRE JO NAZAR AAYE TO PHIR ZABT HUWAA
HAATH PHAILAAE HUWE ROKE YE ZAINAB NE KAHAA