Anjuman E Sakina



AI ALAMDAARE HUSAIN AI ALAMDAARE HUSAIN
TERE JAANE SE LUTI HAAE-RE SARKAARE HUSAIN
AI ALAMDAARE HUSAIN AI ALAMDAARE HUSAIN

TERE BAAZU JUDAA NA HOTE AGAR
SARE ZAINAB SE NA CHHINTI CHAADAR
PYAASI REHTI NA BHATIJI TERI
AUR JUKTI NA SHAAHE DEEN KI KAMAR
TERI FURQAT NE DIYAA GHAM YE, FIDAAKAARE HUSAIN

BINTE ZEHRAA YE KEHTI THI ROKE
TERE BAAZU HI MERI CHAADAR THE
TERE HONE SE AI MERE BHAAI
SHAHE WAALAA BHI MUTMA-IN THE BADE
KISKO NAALE YE SUNAAWUN KAHO, DILDAARE HUSAIN

ROKE KEHTI THI LAADLI TERI
PAANI LAAYENGE MERE AMMU ABHI
PEHLE ASGHAR KO MAI PILAAUNGI
DUR HOJAAYEGI PHIR TASHNA LABI
THAA NA QISMAT KO YE MANZOOR, AI GHAMKHWAARE HUSAIN

KHUN ME DUBA DEKHTE HI ALAM
LAB PE ZAINAB KE THAA YE NAUHA-O GHAM
HAAYE MAARAA GAYAA MERAA GHAAZI
UMR BHAR AB RAHEGI CHASHM YE NAM
GHAM ME TERE YE HUWAA HAAL, AI PARASTAARE HUSAIN

HAQ KAA DUSHMAN YE DE RAHAA THAA SADAA
LUT LO BARH KE GULSHANE ZAHRAA
ROND DAALON CHAMAN KE PHULON KO
BACH NA PAAYE KOI HARAA PATTAA
JARI KE JAATE HI RAN ME LUTI BAHAARE HUSAIN

AI KHUDAA JAANE KAISI HAI BASTI
BAAT SUNTAA NAHIN KOI MERI
KIS SE MAANGU YAHAAN AKHI KAA KAFAN
SHEH KI HAMSHEER RO KE KEHTI THI
WATAN SE DUR PARESHAAN HAI RAZAAKAARE HUSAIN

YE KABHI MOMINON KAA NAARAA
GHAME SHABBIR SE JO ROTAA HAI
USKO MEHSHAR KAA KHOUF KYUN KAR HO
JIS KE HAQ ME DUAA-E ZAHRAA HAI
DEKHIYE ASHQE RAZAA BHI HAI AZAADAARE HUSAIN