Anjuman E Sakina



YE QAID KHAANE KI TAARIKIYON KAA MAAHE TAMAAM
ISI SE KALMA-E TAUHEED KO MILAA HAI DAWAAM
ASEER HOKE DIYAA HAM KO HURRIYAT KAA PAYAAM
YE HAI HUSAIN KI BETI ISE HAMAARAA SALAAAM

SAKINAA SHAAM KE ZINDAAN MEN BE-SAHAARAA HAI

SHABE SITAM HAI ANDHERE BOHOT DARAATE HAIN
KUCHH ASHQE GHAM HAI JO PALKON PE JHIL MILAATE HAIN
HUSAIN AUR KABHI ABBAAS YAAD AATE HAIN

YE KAMSINI YE MASAAEB KAA WOH JINHE SHABE GHAM
DILE SHIKASTAA MEN AMMU KI YAAD HAI PAIHAM
UDAAS CHEHRAA HAI PALKEN HAI AANSUON SE NAM

SHAHEED HOGAYE ABBAAS AUR ALI ASGHAR
WOH GARM RET WOH LAASHON KO ROND-TE LASHKAR
BASE HAI AANKHON MEN KARBOBALAA KE SAB MANZAR

NA BOLTI HAI NA GUTNON SE SAR UTHAATI HAI
KHAAMOSH BAITHI HUWI ASHQE GHAM BAHAATI HAI
YE WAQT WOH HAI KE TAARIKH MUNH CHHUPAATI HAI
EK IMTEHAAN THAA KUFE SE SHAAM KAA WOH SAFAR
KE NOUKE NEZAA PE HAMRAAH THAA HUSAIN KAA SAR
BAS AB TO YAAD HAI BAABAA KI AUR DEEDA-E TAR

UJAD KE HOGAYAA ZEHRAA KAA BAAGH AFSURDAA
CHACHAA KE GHAM ME HAI DIL AUR DIMAAGH AFSURDAA
HAI QAID KHAANE KAA MADHAM CHARAAGH AFSURDAA

NAHIN GUZARTAA HAI EK PAL BAGHAIR ROYE HUWE
NA AB MILENGE MADINE KE DIN WOH KHOYE HUWE
HAI NAATAWAN-E SITAM KE ZAMEER SOYE HUWE

KOI ALI KE GARAANE KAA HOUNSLAA DEKHO
NISHAAN TAMAACHON KE KURTAA JALAA HUWAA DEKHO
MAGAR KHUDAA SE NAHIN HAI KOI GILAA DEKHO